Skip to main content

Vitamins In Vegetables | Konsi Sazbi Me Konse Vitamins Hote Hain Aur Kya Kaam Karte Hain |

Is Article me me aap ko batlaonga ke konse Vitamins kya kaam aate hain aur kis vitamin ki kami se konsi bimari hoti hai aur konse vitamins kis sabzi me pae jate hain.




Medicine specialists ne Vitamins ki bahut Qisme likhi hain. un me se kuch hum ne yahan likhi hae aur un sabziyon ka bhi zikr kya hai jin me wo pai jati hain.







Vitamin A: Ye un me hote
 hain jin me chiknai (Roghaniyaat) 
hote hain jese doodh, Oil, makkhan,
 ande ki zardi, aur kaleji me ye vitamins 
pae jate hain. 




Agar jism me vitamin A ki kami ho to ye bimariyan hoti hain ⇓⇓⇓⇓ 

  • Ankhon ki soojan(Swelling of the eyes )
  • Raat ko nazar ka kaam na karna
  • Gurde aur masane(Urinary Bladder) ki bimariyan
  • Gurde ki pathri(kidney stones)
  • jild ki khushki(Dryness of the skin)
  • Aanton ki bimariyan(Intestinal diseases)
  • Pyorrhea ....

Jo sabziyon me Vitamin A hota hae wo Ye hain ⇓

  • Shakarqandi ( Sweet potato )
  • Gajar ( Carrot )
  • Palak ( Spinach )
  • Chuqandar ( Beetroot )
  • Shalgam ( Turnip )
  • Kaddu ( Pumpkin )
  • Hari mirch ( Green chilli )
  • Tamatar ( Tomato ) 
  • Bhindi ( lady's fingers )
  • Turai ( Ridge guard, Luffa )

@@@@@@@@@@@@@@@




Vitamin B : Dry fruits, Anaaj, aur machli 
mevitamin B kafi miqdar
 me maujod hoti hain. Sub se 
zyada vitamin B Gehu ke
 chilke me hota hai.





Agar jism me vitamin B ki kami ho to ye bimariyan hoti hain ⇓⇓⇓⇓ 

  • Jild ki be hisi ( Skin numbness )
  • Aasaabi kamzori ( Nervous weakness )
  • Dil ka badh jana 
  • Tangen kamzor hojana 
  • Anton aur mede ki kamzori (Intestinal and gastrointestinal weakness )
  • Jism me pani bhar jana 
  • Hararat e azeezi me kami paida hojana ( Adynamia )
  • Jigar ki kamzori  ( Lever weakness )
{ Vitamin B ki ab tak 12 Qismen Dhoondi jachuki hain }

Jo sabziyon me Vitamin B hota hae wo Ye hain ⇓

  • Shakarqandi ( Sweet potato )
  • Aalo ( Potato )
  • Shalgam ( Turnip )
  • Palak ( Spinach )
  • Baigan ( Eggplant, Brinjal )
  • Loubiya ( Beans )
  • Phool gobi ( Cauliflower )
  • Kharbooja ( Muskmelon )
  • Matar ( Peas )
  • Tamatar ( Tomato )
  • Band gobi ( Cabbage )
  • Ganth gobi ( Cabbage )
  • Gajar ( Carrot )
  • Chuqandar ( Beetroot )
  • Kaddu ( Pumpkin )

@@@@@@@@@@@@@@@




Vitamin C : Ye Khatte Fruits me zyada hota hai. Aamla(gooseberry) aur limo me ye 
vitamin sub se zyada hai Digestive disorders
 aur bad hazmi se ye vitamins
 bachate hain aur khansi se hiafazat 
karte hain.


Agar jism me vitamin C ki kami ho to ye bimariyan hoti hain ⇓⇓⇓⇓ 

  • Ganthiya ( Arthritis, joudon ka dard)
  • Dant girna ( Tooth decay )
  • Soojan ( Swelling )
  • Khujli ( Itching )
  • Masode soojna ( Swelling of the gums )
  • Dant hilna aur khoon behna ( Shake teeth and bleeding )
  • Quwwat e mudafiat aur taqat me kami ( Reduction in immune strenth) 

Jo sabziyon me Vitamin C hota hae wo Ye hain ⇓

Sabhi sabziyon aur phalon me ye vitamin hota hai magar in sabziyon me bahut zyada paya jata hai.
  • Limu ( Lemon )
  • Aamla ( gooseberry )
  • Band gobi ( Cabbage )
  • Ganth gobi ( Cabbage )
  • Shalgam ( Turnip )
  • Palak ( Spinach )
  • Baigan ( Eggplant, Brinjal )
  • Kharbooja ( Muskmelon )
  • Shakarqandi ( Sweet potato )
  • Aalo ( Potato )
  • Mulee ( Radish )
  • Bhindi ( lady's finger )
  • Turai ( Ridge guard, Luffa )
  • Loubiya ( Beans )
  • Tamatar ( Tomato )
  • Matar ( Peas )

@@@@@@@@@@@@@@@




Vitamin D : Insani jism ko develop karte hain haddiyon(Bones) ke liye 
ye bahut hi faaide mand 
hain isme sabhi roghaniyat (oils) 
hote hain.



Agar jism me vitamin D ki kami ho to ye bimariyan hoti hain ⇓⇓⇓⇓ 

  • Jab jism me faulad aur calcium ka system aur balance bigad jae to iska ye matlab hota hai ke jism me vitamin D kam hai.
  • Bacchon ko sookhe ki bimari bhi vitamin D ki kami ki wajah se hoti hai.
  • daanton ki health theek rakhne aur haddiyon ki banawat ko sahi rakhne ke liye vitamin D bahut zarori aur ahem hai.

Jo sabziyon me Vitamin D hota hae wo Ye hain ⇓

  • Matar ( Peas )
  • Aalo ( Potato )
  • Phool gobi ( Cauliflower )
  • Loubiya ( Beans )
  • hakarqandi ( Sweet potato ) 

@@@@@@@@@@@@@@@



Vitamin E : Aalo, ande, moong phali, 
aru doodh me ye sub se zyada hain. 
Admi ke taqatwar rakhne me ye
 behad zarori hai sar ke baal
 Hairs vitamin E ke 
istemal se nahi girte. 



Agar jism me vitamin E ki kami ho to ye bimariyan hoti hain ⇓⇓⇓⇓

  • jab jism vitamin E kam ho to quwwat e mardana me kami paida hojati hai.

Jo sabziyon me Vitamin E hota hae wo Ye hain ⇓

  • Matar ( Peas )
  • Aalo ( Potato )
  • Band gobi ( Cabbage )
  • Gajar ( Carrot )
  • Shakarqandi ( Sweet potato )
  • Shalgam ( Turnip )
  • Sabz patton wali sabziyan

@@@@@@@@@@@@@@@




Vitamin G : Vitamin G insani jism ko develop
deta hai aur jab insani jism me 
us ki kami hojae to insan ka 
wight kam hone lagta hai 
aur bhook kam lagti hai.



Agar jism me vitamin G ki kami ho to ye bimariyan hoti hain ⇓⇓⇓⇓

  • Naak aur Muh ki Soojan ( Swelling )
  • Baalon ka Girna ( Hair fall )
  • Jild ki badsoorti

Jo sabziyon me Vitamin G hota hae wo Ye hain ⇓

  • Matar ( Peas )
  • Aalo ( Potato )
  • Phool gobi ( Cauliflower )
  • Band gobi ( Cabbage )
  • Shalgam ( Turnip )
  • Palak ( Spinach )
  • Shakarqandi ( Sweet potato )
@@@@@@@@@@@@@@@






Vitamin H : Gudh, pyaz, makai, gosht aur machli me ye vitamin maujod hain. jism ki parwarish me vitamin H sub se faide mand hai iski kami agar hojae to insam me himmat kam hojati hai aur jism me kharash khujli paida hoti hai.





@@@@@@@@@@@@@@@







Vitamin K : Hari sabziyon aur gosht me ye maujod hote hain. amrood(Guava)
me ye sub se zyada hai. blood ko saaf karne me ye madadgar hain aur khoon ko patla hone se bachate hain.....





Wo sabziyan jo Mausam e Garma me paida hoti hain un me Vitamin C behad paya jata hai jese.

Vitamin A ki zyada quantity matar aur gajar me pai jati hain.

Patton wali sabziyon aur bhindi turai me mineral components ka khazana maujod hai.

Yaad Rakho! ke wo sabziyan jo jad(Root) wali hoti hain jese moli, gajar aur shalgham waghera wo unke chilkon ke saat hi pakai jani chahiye.ye baat yaad rakhiye ke insan ka meda stomach ek hi qism ka food pasand nahi karta aur na stomach ko ek hi qism ki sabzi ya food ki zarorat hoti hai. In foods me kabhi khabz wali kabhi khabz kholne wali, kabhi mineral kabhi namak wali ya phir kabhi halke tezab wali hain. Is liye ye zarori hai ke insan food me hamesha changes karte rahe take aapka pait bhi khush rahe aur aap bhi khush aur sehat mand rahe...








Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Kin kin Mahino Mein Kaun Kaun si Sabziyan Paida Hoti Hain [ In which month, which vegetables will be grown ]

Mausam ke hisab se Hamare Mulk mein 3 Mausam hote hain. Mausam e Garma- (Summar) Mausam e sarma- (winter) Mausam e Barsaat- (Rain)  Aur in Mausamon Mein Jo sabziyan kasht ki aur paida ki Jati Hain wo neeche Diye gaye mahino mein Paida hoti hai. Mausam e Garma : Maidani ilaqoon me January se April aur pahadi ilaqoon me March se May tak sabziyon ko ugaya jata hai.Ye mausam e garma ki sabziyan kehlati hain. Mausam e Sarma : Maidani ilaqoon me July se November  aur pahadi ilaqoon me February ki baraf bari khatam hone ke bad april me paida hone wali sabziyan mausam e sarma ki sabziyan kehlati hain.  Mausam e Barsat : Maidani ilaqoon me july se august tak aur pahadi ilaqoon me is mausam me sabziyan paida  nahi hoti. Garma ki sabziyan aakhir me mausam e barsat ki sabziyan bhi kehlati hain. Kin Mahino me Konsi Sabziya Paida Hoti Hain. January : Ye patjhad ka bhi mausam hota hai jab aalo(putato) ki kheti...

Cabbage Benefits and Nutrients | bandh gobhi ke faide aur nuqsan |

Cabbage ya Band gobi jise hamare yahan patta gobi bhi kaha jata hai ye sabzi ek qism ka saag hai use aksar sookha tal kar roti ke saath khaya jata hai hamare yahan ye subuh ke naashte ki sabzi hai aur aksar cabbage ko kacchi halat me salad me khaya jata hai joke acchi maloom hoti hai aur mazedar bhi hoti hai. use qudrat ne ajeeb tuhfa banaya hai. Isme parat dar parat patte lipte hote hain jo ke ball ki tarah hojate hain. Nutrients ( Ghizai Ajza ) Namkiyat aur vitamin B-H-C-E iske nutrients hain aur iska mizaj garam hota hai  Khasiyat (Benefits) aur usse ilaj Cabbage me behad kam nutrition hota hai aur ye koi umda ya bahut hi faidemand sabzi nahi hai. Ise alo waghera ke saath hargiz paka kar na khaen balke use gosht ke saath paka kar khana faidemand hoga use ghee aur adrak ke bagher hargiz na paken aur na khaen. Cabbage balgham banne se rokti hai  mardana taqat me behad mufeed hai aur masudu ke liye bhi ye ek faidemand sabzi mani gai hai is ...

Insani Khuraak [Human's Food]

Khuraak Food se insani jism ki banavat ka gehra naata hae .insani jism par jese Pani,Hawa aur mulk ke asarat hote hain hum par food bhi aese hi asar andaz hota hai. Hamare bas me nahi ke hum mulk aur pani wo hawa ko badal sake aur hum aesi zameen pani wo hawa me zindagi basar karne par majboor hote hain. job, property aur business, education ya maa baap ka saath hame ek hi jaga par rehne par majboor karta hai. Bunyadi Khuraak [Basic Food]:    Insan ki bunyadi khuraak hain Gandum(gehu),   Chana, Daalen(lentils) aur Chawal(Rice) Upar jo food ya khuraak batlaya gaya hai wo to bilkul zaroori hai magar hamen apne mazey,taste aur Health ke liye bhi kuch doosre foods ki bhi zaroorat hoti hain ya yoon ke kuch foods aese bhi hote hain jinhe dekh kar ji lalchata hai aur insan unhe khane par majboor hojata hae un me phal aur sabziyaan wo mewa fruits sub se ahem hain. Insan pehle soncha karta tha ke bunyadi khurak basic food ko chod dena aur unko khane me susti...