Skip to main content

Ginger Benefits | Adrak ke faide aur usse ilaj |



 Adrak jise English me ginger kaha jata hai ek bahut hi faidemand ghiza hai. Adrak ka paoda ek sada bahaar paoda hai. Uski jaden (Root) zameen ke andar hi andar haldi, aalo, aur doosri zameen ke andar paida hone wali sabziyon ki tarah hoti hai.

Adrak ke paode ke patte bareek bareek lambe ghaas ki tarah se hote hain. Adrak ka paoda zyada se zyada teen chaar feet tak lamba hota hai aur uske patte 9 ya 10 inches tak lambe aur teen char inch chaude lambi ghaas ki tarah hote hain aur ye patte nook daar hote hain. 




Adrak ke paude par chote chote purple yani jamuni color ke phool nikalte hain uske andar adrak ka beej waghera nahi banta balke Adrak ka paoda khud adrak ko hi bo kar ugaliya jata hai zameen me do teen inches khod kar chota sa adrak ka tukda hi gaad diya jata hai joke jaldi hi ugne lagta hai. Adrak jangli paodoon ke jesa nahi ugti hai balke use insan khud se hi ugata hai. Masaalon me adrak ko bahut hi ahmiat hasil hai aur zarori samjha jata hai.

Bahut saari sabziyan aesi hain jo zameen me mitti ke andar hi ugti hain aur mitti me hi chupi hui hoti hain jese ke gajar, moli, shaljam, arvi, haldi, adrak aur aalo waghera bahut mashoor hain. 


Qudrat ne zameen ke andar hi paida hone wali in sabziyon ke andar behad faide aur khoobiyan chupakar rakhi hain. Zameen ke andar paida hone wali in sabziyon me Adrak aur Haldi sub se zyada ahem aur behad faidemand sabzi mani jati hai joke bilkul sach hai.

Kuch ka to yahan tak bhi manna hai ke zameen me paida hone wali saari sabziyon me adrak sub se zyada ahem aur faidemand aur zyada istemal hone wali sabzi hai joke nutrition se bharpoor aur bahut hi healthy sabzi hai.

Taza adrak thoda sa green aur kuch white hoti hai. Adrak ki bahut si qisme hain jinme kuch aesi bhi hoti hain jinka rang kuch kala black hota hai. Taza adrak ki tarah adrak sookhi hui bhi hoti hai jisko apne yahan soonth kaha jata hai. Adrak ke patte jab murjha jate hain to usi waqt zameen ke andar adrak poori bankar ready hojati hai tab hi usko ko khod kar adrak ko nikala jata hai.
Adrak ko taza rakhne ke liye hamare yahan use geeli rait ya geeli mitti me rakha jata hai aur kahi par sugar ke sheere me ya honey yani shehed laga kar bhi rakha jata hai take uski tazgi baqi rahe.





Adrak ke faide aur usse ilaj

Adrak ek bahut zyada faidon wali aur bahut sare ilaj ke liye istemal kijane wali ek umda sabzi aur masaala hai joke bahut sari bimariyon me kaam aati hai. Adrak dono tarah taza ya sookhi istemal kijati hai aur adrak ko kisi bhi tareekhe se khana faidemand aur behtar hota hai.


  • Adrak ka rozana ki ghizaon me istemal Insan ki yaddasht ko quwwat deta hai yani adrak khane walon ki memory yaddasht aur zehen tez hota hai. 



  • Adrak ke lagatar istemal se ganthiya aur faluj ki bimari me faida hota hai. 



  • Jin logon ko kamar ka dard rehta ho to unke liye adrak khana faidemand hota hai.


  • Kaan me dard ho to taza adrak ke do teen drops kaan me daalne se kaan ka dard kuch hi der me kam hojaega.


  • Gases ki bimari hai aur pain bhi ho uske liye bhi adrak ki chatni ya phir adrak ka pani lene se faida hoga.


  • Adrak ko daily food me milakar istemal se gurdon yani kidneys aur masana yani bladders ko quwwat hasil hoti hai.


  • Har tarah ke pet ke dard me adrak faida deti hai khaas kar ke gases ki wajah se hone wale pet dard me.


  • Kisi bhi tarah ka zukaam ho adrak ki banai hui achatni har tarah ke zukaam me faida deti hai aur bahut jald asar karti hai.


  • Masudo ki bimari me adrak ka khana faidemand hota hai. Masoodon ki sojan me adrak ka chota sa tukda kuch der ke liye muh me rakhle aur phir badal kar rakhe aesa karne se aram hojaega.


  • Adrak ka rozana ki ghiza ke pakwan me istemal karte rehne se har qism ki dimaghi bimari me faida hoga.


  • Safre ki waja se health kharab hogai ho aur digestion bhi bigad gaya hoto aesi haalat me adrak se behtar koi cheez nahi.


  • Balgham ko door karne ke liye adrak behtreen dawa hai.


  • Khane ko digest karne ke liye adrak mufeed hai.


  • Adrak jigar liver ko taqat deti hai


  • Motape ko door karne ke liye adrak ka aese istemal kariye, thodi si adrak lo aur usko bareek cut karlo aur tawe par zara sa pani daal kar bhoonlo aur jab pani sookh jae to ek chamach ghee dal kar bhoonlo aur usko roti ke saath salan ki tarah khalo mazedar ghiza ke saath bahut hi acchi dawa bhi tayyar hajaigi . Isi tarah se continue istemal se fat ghatne lagega aur insan ko motape se chutkara hoga.


  • Body pain aur kamar dard me adrak ko ghee me bhoon kar cheeni milakar istemal karne se dard me kami hogi aur aesa istemal karne se jism ko garmi aur taqat milegi.


  • Adrak ka ras shehed milakar chatne se sardi ki khansi ko aram milega


  • Pet ke dard ke liye adrak ka murabba saari dawaon se behtar hai.


  • Adrak se mardana taqat me izafa hota hai.



dried ginger


Side effects

Adrak medium quantity me istemal kariye zyada quantity bhi iska asar yani garmi paida karegi. Magar after all adrak kisi bhi bimari me side effect nahi karti.

Comments

Popular posts from this blog

Kin kin Mahino Mein Kaun Kaun si Sabziyan Paida Hoti Hain [ In which month, which vegetables will be grown ]

Mausam ke hisab se Hamare Mulk mein 3 Mausam hote hain. Mausam e Garma- (Summar) Mausam e sarma- (winter) Mausam e Barsaat- (Rain)  Aur in Mausamon Mein Jo sabziyan kasht ki aur paida ki Jati Hain wo neeche Diye gaye mahino mein Paida hoti hai. Mausam e Garma : Maidani ilaqoon me January se April aur pahadi ilaqoon me March se May tak sabziyon ko ugaya jata hai.Ye mausam e garma ki sabziyan kehlati hain. Mausam e Sarma : Maidani ilaqoon me July se November  aur pahadi ilaqoon me February ki baraf bari khatam hone ke bad april me paida hone wali sabziyan mausam e sarma ki sabziyan kehlati hain.  Mausam e Barsat : Maidani ilaqoon me july se august tak aur pahadi ilaqoon me is mausam me sabziyan paida  nahi hoti. Garma ki sabziyan aakhir me mausam e barsat ki sabziyan bhi kehlati hain. Kin Mahino me Konsi Sabziya Paida Hoti Hain. January : Ye patjhad ka bhi mausam hota hai jab aalo(putato) ki kheti...

Cabbage Benefits and Nutrients | bandh gobhi ke faide aur nuqsan |

Cabbage ya Band gobi jise hamare yahan patta gobi bhi kaha jata hai ye sabzi ek qism ka saag hai use aksar sookha tal kar roti ke saath khaya jata hai hamare yahan ye subuh ke naashte ki sabzi hai aur aksar cabbage ko kacchi halat me salad me khaya jata hai joke acchi maloom hoti hai aur mazedar bhi hoti hai. use qudrat ne ajeeb tuhfa banaya hai. Isme parat dar parat patte lipte hote hain jo ke ball ki tarah hojate hain. Nutrients ( Ghizai Ajza ) Namkiyat aur vitamin B-H-C-E iske nutrients hain aur iska mizaj garam hota hai  Khasiyat (Benefits) aur usse ilaj Cabbage me behad kam nutrition hota hai aur ye koi umda ya bahut hi faidemand sabzi nahi hai. Ise alo waghera ke saath hargiz paka kar na khaen balke use gosht ke saath paka kar khana faidemand hoga use ghee aur adrak ke bagher hargiz na paken aur na khaen. Cabbage balgham banne se rokti hai  mardana taqat me behad mufeed hai aur masudu ke liye bhi ye ek faidemand sabzi mani gai hai is ...

Insani Khuraak [Human's Food]

Khuraak Food se insani jism ki banavat ka gehra naata hae .insani jism par jese Pani,Hawa aur mulk ke asarat hote hain hum par food bhi aese hi asar andaz hota hai. Hamare bas me nahi ke hum mulk aur pani wo hawa ko badal sake aur hum aesi zameen pani wo hawa me zindagi basar karne par majboor hote hain. job, property aur business, education ya maa baap ka saath hame ek hi jaga par rehne par majboor karta hai. Bunyadi Khuraak [Basic Food]:    Insan ki bunyadi khuraak hain Gandum(gehu),   Chana, Daalen(lentils) aur Chawal(Rice) Upar jo food ya khuraak batlaya gaya hai wo to bilkul zaroori hai magar hamen apne mazey,taste aur Health ke liye bhi kuch doosre foods ki bhi zaroorat hoti hain ya yoon ke kuch foods aese bhi hote hain jinhe dekh kar ji lalchata hai aur insan unhe khane par majboor hojata hae un me phal aur sabziyaan wo mewa fruits sub se ahem hain. Insan pehle soncha karta tha ke bunyadi khurak basic food ko chod dena aur unko khane me susti...